Originally Posted by
yawar azeem
mera khayal ha "chubhan" ya khalish ,,,, ya koi aur lafz ho to acha lagta.
ye matlab nahi k ye lafz acha nahi , lakin ye namanoos zaror ha , aur shayad isi waja se acha nahi lag raha.
ye bat shiddat se mehsos yon bhi hoti ha k yehi baat aur shairon ne dosrey lafzon men ki ha jo jach bhi rahey hen.
baqi mere bhai baat ye ha k shairy koi science nahi jis ka koi laga bandha usool ya qaaida ho. is liye ye logon k mizaaj par munhasar ha , aik lafz , sher , ya khayal ho sakta ha aap ko bohat acha lagey aur mujhey bura.
sher k barey men hatmi raye nahi di sakti. bahar hal lateef zoq rakhney waley kisi had tak is cheez ko mumkin banatey rehtey hen.